Saturday, March 5, 2011

dil ki khushi jab aankhon tak aaye,
hothon ki hasi jab dil tak jaaye,
toh samajh lena kisi ne uska naam liya hai,
aur chupke-chupke humne usko yaad kiya hai!

mil na sakenge usey, hain duniya ke kuchh dastoor aise,
saamne bhi ho toh, awaaz na denge, hain uske kuchh kasoor aise.
par har subah aankh khulte hi uska khayal hai,
uske bina jeena har ek lamha, jaise ek saal hai!!

khwab itna mehnga

jab maine us roz apna khwab usey btaya,
toh khuda ne bhi bade ajeeb dhang se muskaraya,
kehne laga bada mehnge hai junoon tera,
jeb itni toh meri bhi bharii nahin,
koshish toh kar jab bola maine usey,
samandar, baadal, chand aur jangal dekar, usne mujhe behlaya!!